Shayari Hindi Love

Nhi Jo Dill Mein Jagah To Najar Mein Rehne Do,
Meri Hayaat Ko Tum Apne Asar Mein Rehne Do,
Main Apni Soch Ko Teri Gali Mein Chhod Aaya Hun,
Mere Wajood Ko Khwaboon Ke Ghar Mein Rehne Do.

Ujale Apni Yadun Ke Hamary Saath Rahne Do,
Na Jaany Kis Gali Mein Zindagi Ki Shaam Ho Jaee.

Yaad Aisa Kro Ki Hadd Na Ho,
Bharosa Itna Kro Ki Shaqq Na Ho,
Intezar Itna Kro Ki koi Waqt Na Ho,
Piyar Aisa Kro Ki Nafrat Na Ho.

Koi Mile Iss Tarha Ke Phir Juda Na Ho,
Samjhy Mera Mizaaj Aur Kabhi Khafa Na Ho,
Apne Ehsas Se Baant Ly Saari Tanhai Meri,
Itna Piyar De Jo Pehly Kisi Ne Kisi Sy Kiya Na Ho.

Best Love Shayari In Hindi

Tery Khayal Se Khud Ko Chhupa Ke Dekha Hai,
Dil-o-Najar Ko Rula-Rula Ke Dekha Hai,
Tu Nhi To Kuch Bhi Nhi Hai Teri Qasam,
Mene Kuch Pal Tujhy Bhula Ke Dekha Hai.

Woh Shama Ki Mehfil Hi Kya,
Jis Me Dill Khaak Na Ho,
Maza To Tab Hai Chahat Ka,
Jab Dill To Jaly Par Raakh Na Ho.

Kuch Alag Hi Krna Hai,
To Wafa Kro Mery Dost,
Majburi Ka Naam Lekr,
Bewafai To Hr Koi Krta Hai.

Mujhy Tera Saath Zindagi Bhar Nhi Chahiye,
Bas Jab Tak Tu Saath Hai Tab Tak Zindagi Chahiye.

Best Love Shayari In Hindi

Kehne Ko To Mera Dill Aik Hai,
Par jisko Diya Hai Wo Laakhon Mein Aik Hai.

Kabhi Sham Dhaly Jab Hum Mily,
Na Din Dhaly Na Raat Ho,
Ye Aarzoo Din Raat Ho,
Ye Zindagi Tere Sath Ho.

Tujhy Yaad Krna Bhi Ek Ehsaas Hai,
Aisa Lagta Hai Ki Tu Har Pal Mere Pass Hai.

Mai Adhura Hun,
Tum Sirf Meri Kami Ho,
Maano Ya Na Maano,
Tum Sirf Mery Liye Bani Ho.

Iss Qadar Piyar Hai Tumsy Ki,
Tumhy Khuwab Nhi Haqiqat Banana Chahta Hun.

Hum To Fanaah Ho Gay Uski Ankhen Dekh Kr Ghalib,
Na Jany Wo Aaina Kaisy Dekhty Hongy.

Door Hai Apse To Kuch Gham Nhi,
Door Reh Ke Bholny Waly Hum Nhi,
Roz Mulaqat Na Ho To Kia Huwa,
Aapki Yaad Apki Mulaqat Se Kam Nhi.

Best Shayari Love Hindi

Har Roz Dill Ka Rasta
Tumhary Ghar Se Guzarta Tha
Dooriyan Badhti Gai
Par Dill Phir Bhi Dhadkata Tha

Humaary Ek Ishaary Par Wo Aise Muskura Baithe,
Hum Unki Muskurahat Pe Khud Ko Luta Baithe,
Na Samjhe Hein Na Samjhenge Wo Mohabbat Ko,
Ke Unki Har Adaa Pe Hum Khud Ko Mita Baithe.

Kaash Wo Mujhy Seeny Sy Laga Kar,
Meri Sari Shikayatein Dur Kar Dy,
Mein Sirf Unka Ho Jaun,
Mujhy Wo Itna Majbur Kar Dy.

Muskurahat Ka Koi Mol Nhi Hota,
Kuch Rishto Ka Koi Tol Nhi Hota
Wese Log To Mill Jaty Hein Har Mod Par
Par Koi Aap Ki Tarah Anmol Nhi Hota.

Aap Ki Nigaah Agar Meharbaan Ho Jaye,
Main Jis Zameen Pe Hoon Wo Aasmaan Ho Jaye,
Hai Ab Bhi Aap Ko Shak Mere Pyaar Par,
Toh Phir Ek Baar Mera Imtehaan Ho Jaye.

Haqiqat Kaho Unhe Khuwab Lagta Hai,
Shikwa Karo To Unhe Majak Lagta Hai,
Kitni Shiddat Se Hum Unhe Yaad Krty Hein,
Ek Wo Jinhe Ye Sab Kuch Majak Lagta Hai.

Hontoon Par Mohabbat Ke Fasaany Nhi Aaty,
Sahil Par Samandar Ke Khazany Nhi Aaty,
Palkein Chamak Uthhti Hein Soty Huwe Humari,
Aankhon Ko Bhi Khuwaab Chhupany Nhi Aaty.

The Best Shayari Hindi Love

Udaas Na Hona Hum Aap Ke Sath Hein,
Nazar Sy Door Per Dill Ke Pass Hein,
Palkun Ko Band Kr Ke Dill Sse Yaad Krna,
Hum Hamesha Aap Ke Liye Ek Ehsaas Hein.

Kitna Piyar Hai Is Dill Mein Keh Nhi Paaty,
Par Ye Sach Hai Jaan Tery Bin Ab Hum Reh Nhi Paaty.

Manzil Bhi Tum Ho Talash Bhi Tum Ho,
Ummeed Bhi Tum Ho Aas Bhi Tum Ho,
Ishq Bhi Tum Ho Junoon Bhi Tum Ho,
Ehsaas Bhi Tum Ho Piyas Bhi Tum Ho.

Dard Kia Hota Hai Bataengy Kisi Roz,
Apni Dill Ki Ghazal Sunaengy Kisi Roz,
Udne Do Parindon Ko Khuli Fizaon Mein,
Hamare Hongy To Laut Kar Aaengy Kisi Roz.

Zindagi Mein Apki Ahmiyat Hum Apko Bata Nhi Sakty,
Dill Mein Apki Jagah Hum Apko Dikha Nhi Sakty,
Kuch Rishty Buht Anmol Hoty Hein,
Is Se Ziyada Hum Apko Samjha Nhi Sakty.

Mujh Ko Chahty Hongy Aur Bhi Buht Log,
Magar Mujhy Mohabbat Sirf Apni Mohabbat Se Hai.

Wo Kehty Hein Ke Majboor Hein Hum,
Chahte Nhi Magr Tumsy Door Hein Hum,
Chura Li Hai Dill Ki Dhadkan Humari Unhony,
Magar Phir Bhi Kehty Hein Bekasoor Hein Hum.

The Best Love Shayari In Hindi

Na Rang Aankhun Ka Laal Rakhna,
Na Veeran Veeran Sa Haal Rakhna,
Jo Chahton Mein Likhy Thy Hum Ny,
Wo Alfaz Sary Sanbhal Rakhna.

Mein Jab Bhi Teri Yaadon Ka Sahara Thaam Leta Hun,
Bhula Deta Hun Dard-o-Ghum Zara Aaram Leta Hun.
Na Jaany Kon Sa Jazba Mujhay Majbur Krta Hai,
Mein Aksar Be-khudi Mein Bhi Tumhara Naam Leta Hun.

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *